Bahot mushkil hai yeh safar
chal rahi hoon jis dagar
Lay rahi hoon harr qadam
Dua'ein hain harr waqt
waqt hai na guzar
dil mein phir bhi hai aans
hai yehi woh safar
jiski na thi kabhi talash
Karti hoon Dua harr waqt
phir kyun dil mein hai darr
kya yeh hai aisa gunaah
jiski na koi magh'firat
Sabr hai din aur raat
In'nalaha Ma'Sabreen
ke zikr ke saath
Dua'a ki hai darkhaust
Sajde mein hoon Rabb ke paas

No comments:
Post a Comment